Giri Giri - Aladin Lyrics

Giri Giri

(giri giri giri re bijuriya, padi jahaan padi re najariya
kar du khaak jalaake raakh mita du chaahu toh duniya) - (2)

(koyale ka dil hai shole hai aankhein
chain se main sota hoon duniya jalaake) - (2)
khaabon mein khayaalon mein tabaahi hai
kar du khatm jalaake bhasm main har sapano ki nagariya
(giri giri giri re bijuriya, padi jahaan padi re najariya
kar du khaak jalaake raakh mita du chaahu toh duniya) - (2)

(saamane jo aa gaya band usaki saansein
chadh gaya nasha agar bas lahu ki pyaas hai) - (2)
na koi bachega mere haathon se
mujhe har waqt chaahiye rakt bada hoon sakt main bhaiya

5 Comments