Haan Judai Se Darta Hai - Kareeb Lyrics


Haan Judai Se Darta Hai

Haan judaai se darta hai dil
Maut se to mein darti nahin
Aur darti to sun le sanam
Pyar tujhse main karti nahin...
Ek armaan is paar hai
Ek armaan us paar hai
Humne khud hi banai thi jo
Raaste mein woh deewar hai
Ek khushi dil ne kya mang li
Har khushi ko nazar lag gayee
Zindagi jab kareeb aai to
Zindagi ko nazar lag gayee
Ab tamanna ho dil main koi
Main tamanna bhi karti nahin...
Man se man ka hai bandhan agar
Tan mile na mile kuch nahin
Man ka chandan mehekta rahe
Man hi sab kuch hai tan kuch nahin
Aasmanon mein so jayega
Dastanon mein kho jayega
Tan kisi roz ban kar dhuan
In hawaon ka ho jayega
Pyar rehta hai zinda sada
Aatma hai yeh marti nahin...

5 Comments