Baat Meri Suniye To Zara - Kuch Naa Kaho Lyrics


Baat Meri Suniye To Zara

sh: baat meri suniye to zaraa -2

meri baat sunke ye bataaiye ke iske baare mein hai aapkaa Khyaal kyaa

itnaa kyuN guroor aap mein hai

itnaa aap mein hai naaz kisliye

bataaiye hai kisne ye sikhaayaa aapko

ke jo bhi tumko chaahe jo bhi tumko pyaar se mile

usi se raho tum khafaa khafaa

ma: baat meri suniye to zaraa

aise ham nahin hai lekin ham agar hoN aise bhi to is mein kyaa huaa

kyuN na ho guroor hamko, kyuN na hamko naaz ho ke

ham haseen logoN ki hi ThokroN mein hai zamaanaa

jisko dekhiye hamaaraa hai deevaanaa

ham kisikaa dil bhi toD den

kisi ko aadhe raaste mein chhoD den

to usko bhi ye duniyaa kahti hai adaa

ma, na, pa: hey hey, aap ko javaab mil gayaa

ho ho ho, kahiye kaisaa aapko lagaa

sh: baat meri suniye to zaraa

aaj sun hi leejiye ke kyaa hai husn aapkaa, kyaa hai aap ki adaa

aapke har ik sitam ko hamne hi adaa kahaa

aur aapki har ik adaa ko hanske hamne hi sahaa

hamne hi zaraa si ek baat ko baDhaa ke daastaan kar diyaa hai

sh, cho: hamne hi to husn ki zamin ko aasmaan kar diyaa hai

sh: duniyaa mein jo aapkaa ye husn bemisaal hai

to ismein bhi hamaare ishq kaa hi to kamaal hai

agar hamin na hote isko kaun poochhtaa

chorus: hey hey hey, ho ho ho, huN aa aa aa -2

chorus: ha_i ya_i ya_i ya_i ya_i ya_i

dhinaa na taana naa, dhum ta na na na na na na na

ma: aapko agar Khyaal hai -2, ki hamko husn jo milaa hai aapne diyaa hai

yaani jo bhi hai kamaal aapne kiyaa hai

to ye baat saaf hai ki hamko dekhte hi aapko nashaa saa ho gayaa hai

saaraa hosh kho gayaa hai..

varnaa aisi ulTi seedhi bahki bahki baatoN ki vajai hai kyaa

na, pa: dhina na na na, dhina na na na, dhi na na ta na na na

na, pa: dhi na na na ma: haay

na, pa: dhina na na na, dhina na na na, dhi na na ta na na na -4

dhi na na tam dha ni, la la la la la la la

sh: nahin samajh mein aayee meri baat to nahin sahi

jo aap apne husn par guroor karte hain

to kariye par na bhool jaaiyegaa

ham ne hi vo khoon-e-dil diyaa hai

jis se roop mein ye rang aa gayaa hai

aap kaa ye husn duniyaa bhar pe chhaa gayaa hai..

ma: jaadoo banke ham nigaahoN par jo chhaa gaye

ma, na, pa: diloN mein jo samaa gaye to hairat is mein kyaa hai

chehraa phool, hoNT kaliyaaN, aur zulf hai andheraa

aisaa jo mahak rahaa hai

sh: hamne hi to aapke in hoNToN ko gulaab aur chehre ko kaNval kahaa hai

hamne hi to aapki nazar ko jaadoo, baatoN ko Ghazal kahaa hai

hamne hi to zulf ko kabhi kahaa hai raat aur kabhi ghaTaa

agar hamin na dekhte na chaahte na poojte

to pattharoN ke but ko kaun kahtaa phir khudaa

ma: baat meri suniye to zaraa

sh: choDiye bhi kahne aur sunane ko hai baaki kyaa rahaa

ma: dekhiye main kah rahi hooN baat meri suniye to zaraa

sh: aap kyaa kahengi mujhko khoob hai pataa

ma: arrey baat meri suniye to zaraa

sh: phir milenge vaqt agar milaa

ma: par baat meri

5 Comments