Manoranjan - The Entertainment Lyrics

U P Bihar Na Punjab Rajasthan - Manoranjan - The Entertainment Lyrics


U P Bihar Na Punjab Rajasthan

(u.p. bihar na punjab rajasthan - 2
meri taal pe dewaana saara hindustan - 2) - 2

chanchal jawaani badi manchali hai
dewaano mein mach gayi khalbali hai
jaipur ki choli meri sheeshewaali
saadi banaras ki chunari bhopali
aankhon mein surma bareli ki jaan - 2
meri taal pe dewaana saara hindustan - 2

mujhko pukaare koyi dilbar jaani
koyi kahe beautiful meri raani
dewaane meri jawaani pe saare
chaahat mein mere phire maare maare
sabko lubhaati hai meri muskaan - 2
meri taal pe dewaana saara hindustan - 2

1 Comments