Main Jahaan Rahoon (Mehfil Mix) - Namaste London Lyrics


Main Jahaan Rahoon (Mehfil Mix)

main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai

Javed Akhtar:
jaane kiski talaash unaki aankhon mein thi
aarajoo ke musaafir bhatkate rahein
jitane bhi woh chale
utane hi bichh gayein raah mein faasalein
kwaab manjil thi aur manjilein khwaab thi
raaston se nikalate rahein raaste
jaane kis waste aarjoo ke musaafir bhatkate rahein

main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai
kisi se kahoon
ke nahi kahoon
yeh jo dil ki baat hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai - 3
main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai

Javed Akhtar:
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge
aayo, chalke bitein dino ki chhanv mein baithe
us lamhein ki baat karein
jisme koyi phool khila tha
us lamhein ki baat karein ke
jisme kisi aawaaz ki chaandi khanak uthi thi
us lamhein ki baat karein ke
jisme kisi nazaron ke moti barse the
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge

kahin to dil mein yaadon ki
ek suli gad jaati hai
kahin har ek tasveer bhahut hi dhondhali pad jaati hai
koi nayi duniya ke naye rango mein khush rehta hai
koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kehta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai - 3

Javed Akhtar:
sach toh yeh hai kasoor apana hain
chaand ko chuune ki tamanna ki
aasamaan ko jamin par maanga
phool chaaha ki paththaron pe khilein
kaanton mein ki talaash khoshboo ki
aarjoo ki ke aag thandak de
barf mein dhundate rahein garmi
khwaab jo dekha chaaha sach ho jaaye
isaki humko saja toh milani hi thi
sach toh yeh hai kasoor apana hain

kahin to beete kal ki jadein
dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhage tute to malaayen bhikar jaati
koi dil mein jagah nayi, baaton ke liye rakhta hai
koi apni palko par yaadon ke diye rakhta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai - 3

4 Comments