Re Mere Maula - Road To Sangam Lyrics


Re Mere Maula

aana aana

mashware aur hidaayate najar yeh kya karun - (2)
meri aankhon se bhi dikhata hai najaara kya karun
re mere maula - (4)

maula maula....
hai yeh galat aur yeh hai sahi
sab kahein aisa kar hai yahi bandagi
mere dil mein bhi tu hi chhipa hai kahin
abb toh tu hi bata kya hai farmaan ji
abb tera bhi mujhako hai sahaara kya karun
re mere maula - (2)
maula maula maula maula....
sab ke chaaron taraf ek diwaar kyun
khud ki bhi najaron mein hum gunehgaar kyun
maula maula maula maula....
aadami inn dino thoda bimaar kyun
ik aman ke liye itani takraar kyun
badi ummidon se tujhako hai pukaara kya karun
re mere maula - (2)
mashware aur hidaayate najar yeh kya karun - (2)
meri aankhon se bhi dikhata hai najaara kya karun
re mere maula - (4)

5 Comments